Tuesday, December 18, 2007

smile please

Subah subah jab murgay ki pukaar suni, to aisa laga mano kambakhat muskura raha ho. December shuru hote hi, mahaz balon ko chorke… baki poora sansar… mano kambal ke andar hi bas jaata ho.

Apne dain haath ko tasalli di… to sahab sirak-ke dono moze …andar ko khainch layen. Andhere mein hi who anhoni hui jab left or right ulte pad gaye.

Thande farsh pe chappal khonjte hue balcony tak aa pahuche…rasten mein kahin …pata nahin kaise …ek garam chai ka pyala haath mein aaa thama.

Samne wale ghar ki balcony mein… aunty roz ki tarah aaj bhi kapde sukha rahin thin…mein sikud ke, dono hathon mein apna pyaala liye khada tha.

Suryadev… aaj bhi mazzak kar rahe the.

Aunty ne bach-che ki chaddi balti se nikaalke…nichoodke… …taar pe tangi aur galti se balti mein bachche hue pani ko neeeche udail diya…zor se chillane ki aawaz ane par… Aunty ne forun sorry bol ke smile paas kari …to neeche khade bhaiya bhi…koi nahin …bol ke hans diye. Itne mein meri chai thandi pad gayi…malai to khair mein waise bhi nahin khata .

Ghanti baji to chaukidaar chori ki khabar liye muskura raha tha…upar se gande pani ka bahaw dekha to jamadaar khil khila rahaa tha. Press wali aunty jale hue kapde leke khush hue jaa rahin thi to akhbaar wala dobara bil dete hue sharma raha tha.

Bhai… koi mujhe bata sakta hai ki is sheher ke logon ko itni hansi kyon aati hai?

2 comments:

deshu said...

mujhse poocchega kya?

Abhinav Tripathi said...

janaab, gadar macha di aapne apne iss kisse ke sath.
baat to sahi ki hai aapne, lekin shaq hai humme ki aap bhi muskurane se katraate nahi hain. chehara to aapka bhi khilta hoga, jab doosre ka din pilta hoga.
par gajab sach sunna gaye aap. anjaane mai, ya jaane mai, yeh aap khud se hi pooch leejiyega.
millte hain.